aurat aur namak

izzat ki bahut si qismen hain
ghunghat thappad gandum

izzat ke tabut mein qaid ki mekhen thonki gai hain
ghar se le kar footpath tak hamara nahin

izzat hamare guzare ki baat hai
izzat ke neze se hamein dagha jata hai

izzat ki kani hamari zaban se shurua hoti hai
koi raat hamara namak chakh le

to ek zindagi hamein be-zaiqa roti kaha jata hai
ye kaisa bazar hai

ki rang-saz hi phika pada hai
khala ki hatheli pe patangen mar rahi hain

main qaid mein bachche janti hun
jaez aulad ke liye zamin khilandari honi chahiye

tum dar mein bachche janti ho isi liye aaj tumhaari koi nasl nahin
tum jism ke ek band se pukari jati ho

tumhaari haisiyat mein to chaal rakh di gai hai
ek khubsurat chaal

chhoti muskurahat tumhaare labon pe tarash di gai hai
tum sadiyon se nahin roin

kya man aisi hoti hai
tumhaare bachche phike kyon pade hain

tum kis kumbe ki man ho
reip ki qaid ki bate hue jism ki

ya inton mein chuni hui betiyon ki
bazaron mein tumhaari betiyan

apne lahu se bhuk gundhti hain
aur apna gosht khati hain

ye tumhaari kaun si aankhen hain
ye tumhaare ghar ki diwar ki kaun si chinai hai

tum ne meri hansi mein taaruf rakkha
aur apne bete ka nam sikka-e-raij-ul-waqt

aaj tumhaari beti apni betiyon se kahti hai
main apni beti ki zaban daghungi

lahu thukti aurat dhat nahin
chudiyon ki chor nahin

maidan mera hausla hai
angara meri khwahish

hum sar pe kafan bandh kar paida hue hain
koi anguthi pahan kar nahin

jise tum chori kar loge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close