khada hai kaun ye pairahan-e-sharar pahne badan hai chur to mathe se khun jari hai zamana guzra ki farhad o qais khatm hue ye kis pe ahl-e-jahan hukm-e-sang-bari hai yahan to koi bhi shirin ada-nigar nahin yahan to koi bhi laila badan-bahaar nahin ye kis ke nam pe zakhmon ki lala-kari hai koi diwana hai leta hai sach ka nam ab tak fareb-o-makr ko karta nahin salam ab tak hai baat saf saza is ki sang-sari hai