falsafi tujh ko samajhte hain numud-e-be-bud ulma kahte hain sarmaya-e-ishrat tujh ko ahl-e-tarikh batate hain ki aqwam-e-ghayur mante aae hain ek hisn-e-hamiyat tujh ko bech kar jaan kharidar tere hote hain be-baha jaante hain ahal-e-shujaat tujh ko koi kahta hai ilaj-e-maraz-e-tanhai koi kahta hai dalil-e-rah-e-iffat tujh ko hur-e-jannat hai kisi ke liye lekin koi chah-e-babil ki samajhta hai haqiqat tujh ko tere jaur-o-sitam-o-naz-o-talawwun ke qatil kanp kar kahte hain nairangi-e-qismat tujh ko koi kahta hai tujhe saya-e-bed-e-larzan koi kahta hai magar sarw-e-nazakat tujh ko husn-e-sirat pe nazar jin ki gai kahte hain kabhi ismat ki kabhi sharm ki murat tujh ko wasl aur hijr ke aalam ka kabhi kar ke khayal jaan kahta hai koi jaan ki zahmat tujh ko ai do-rangi-e-zamana ki mujassam taswir u’rafa kahte hain aaina-e-ibrat tujh ko dekhta hun teri surat ko ba-chashm-e-hairat kuchh bata tu hi ki main kya kahun aurat tujh ko