chand si surat jo dekhi jaan ke lale pade zulf rukh par yun thi bikhri man pe jon kale pade kis ghazab ki sada-lauhi qahr wo tarz-e-khiram mast aankhen do chhalakte mai ke paimane mudam gal donon gul-ba-daman sarw sa qad la-jawab lahlahata tha jo joban dagmagata tha shabab hae tikhi tikhi chitwan aah pyara pyara nam kaun jae kis ko bhejun tu saba le ja payam kah ye us se ai dil-ara ab nahin hai tab-e-zabt hai jo tujh par marne wala ho chala hai us ko khabt kya bigad jaega tera rahm se tu le jo kaam tu hai apna aap malik wo magar tera ghulam ashk hain din-raat jari surkh jaise ju-e-khun gar yahi haalat rahegi aakhirash hoga junun aah ek aalam hai tari kaam hota hai tamam chal sitamgar le khabar ab zist hai tujh bin haram