samundar pyas kaise bujhae ki wo tishnagi ka dusra lafz thahra isi liye samundar ne kisi ki pyas ab tak bujhane ka dawa nahin kiya hai magar wo zat mein apni bada hai bahut pur-ab hai par ye sach hai haqiqat mein wo be-mani bahut hai ba-zahir be-karan maujon ko apni god mein le kar rawan hai be-qarari se magar kahta nahin hai dard apna sada in shokh maujon ka hamdam hai in ka ham-qadam in ka nigahban wo khud dara sahma hua hai samundar ka janam shayad nahin hai ki wo sairab kar de tishnagan ko hai is ke misl aurat ki fitrat samundar aur aurat ki kahani hai ek jaisi zamane mein azal se hazaron gham ko pi leti hai aurat magar shikwa nahin karti isi liye to samundar aur aurat nazar aate hain bilkul ek jaise sitam sahti hai wo zaryab aksar magar kahti nahin kuchh bhi zaban se hai yahi aurat ki khaslat yahi hai is ki azmat