ho gae viran dehli-o-dayar-e-lakhnau ab kahan wo lutf-e-dehli-e-bahaar-o-lakhnau bagh-e-dehli to hua yun yak-qalam-barbaad aur mil gaya sab khak mein naqsh-o-nigar-e-lakhnau ahl-e-jauhar to milae khak mein dehli ke wan rah gae yun be-sar-o-pa wazadar-e-lakhnau jo the dehli mein amaid wo kiye yaksar kharab aur tabah sare kiye sahab waqar-e-lakhnau tha khas-o-khashak-e-dehli ghairat-e-sad-lala-zar rashk-e-sad-gulzar tha ek ek khar-e-lakhnau so falak ne yun kiya dehli ko to pamal-e-jaur aur kiya waqf-e-jafa har-barg-o-bar-e-lakhnau rashk-e-sad-khurshid tha har-zarra-e-dehli suna marta chashmak safa par tha ghubar-e-lakhnau gham mein dehli ke gulon ke to gareban chaak hain aur sausan hai chaman mein sogwar-e-lakhnau tukde hota hai jigar dehli ke sadme sun ke 'aish' aur dil phahtta hai sun kar haal-e-zar-e-lakhnau