tu prem mandir ki pak dewi tu husn ki mamlikat ki rani hayat-e-insan ki qismaton par teri nigahon ki hukmarani jahan-e-ulfat teri qalam-rau harim-e-dil teri rajdhani bahaar-e-fitrat tere lab-e-lal-gun ki doshiza muskurahat nizam-e-kaunain teri aankhon ke surkh doron ki thartharahat farogh-e-sad-kaenat teri jabin simin ki zau-fishani bhadakte sinon mein bas rahi hain qarar ban kar teri adaen tarasti ruhon ko jam-e-ishrat pila rahi hain teri wafaen rag-e-jahan mein thirak rahi hai sharab ban kar teri jawani dimagh-e-parwar-digar mein jo azal ke din se machal raha tha zaban-e-takhliq-e-dahr se bhi na jis ka izhaar ho saka tha numud teri usi muqaddas hasin takhayyul ki tarjumani hai wadi-e-nil par tera abr-e-zulf saya-kunan abhi tak hain jam-e-iran ki mai mein tere labon ki shiriniyan abhi tak fasana-go hai teri abhi tak hadis-e-yunan ki khun-chakani' hai teri ulfat ke rag par mauj-e-rud-e-ganga ko wajd ab tak teri mohabbat ki aag mein jal raha hai sahra-e-najd ab tak jamal-e-zahra tere malaek fareb jalwon ki ek nishani teri nigahon ke sahar se gul-fishan hai sher o adab ki duniya tere tabassum ke kaif se hai ye gham ki duniya tarab ki duniya tere labon ki mithas se shakkarin hai zahrab-e-zindagani tera tabassum kali kali mein tera tarannum chaman chaman mein rumuz-e-hasti ke pech-o-kham tere gesuon ki shikan shikan mein kitab-e-tarikh-e-zindagi ke waraq waraq par teri kahani jo tu na hoti to yun darakhshanda sham-e-bazm-e-jahan na hoti wajud-e-arz-o-sama na hota numud-e-kaun-o-makan na hoti bashar ki mahdudiyat ki khatir tarasti aalam ki be-karani