khamosh rahna, kabhi sar hila ke sun lena hawa mein chand banana, bana ke chun lena ajib daur tha chaaron taraf udasi thi zamin apni hi tanhaiyon ki pyasi thi kabhi sharab kabhi shaeri kabhi mahfil phir is ke baad dhadakta hua akela dil khud apne ghar mein hi ghar se alag-thalag rahna kitab-e-jaan ke liye raat bhar ghazal kahna ye aur baat bade hausle ka shaer tha main apni nind ka rutha hua musafir tha