haqdar jis ki hun wo mohabbat nahin mili aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili waqif nahin hai koi mere iztirab se har shakhs mujh ko padhta hai apne hisab se mujh ko likha har ek ne apni kitab se jaise bhi jis ne chaha nawaza khitab se wabasta mujh se meri haqiqat nahin mili aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili jab chaha mujh ko ek tawaif bana diya maqsad hi mere janm ka dil se bhula diya phulon ki sej di kabhi mujh ko jala diya sita bana ke shoalon mein mujh ko bitha diya jine ki ek pal ko bhi rahat nahin mili aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili pal pal andheri raat mein jalna pada bhi hai mahfil mein ban ke shama pighalna pada bhi hai girne pe dusron ke sanbhalna pada bhi hai jhuti tasalli pa ke bahalna pada bhi hai wabasta mujh se meri haqiqat nahin mili aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili jaana gaya na mujh ko kabhi mere nam se rishton mein mujh ko bandha gaya ehtimam se nisbat jo log apni batate hain ram se ban-bas mujh ko dete hain sita ke nam se baaton mein aur amal mein sadaqat nahin mili aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili aata hai zindagi mein meri ye bhi hadisa meri hansi zamane ko lagti hai saneha qurbaniyon ka milta hai kuchh is tarah sila phulon ko pa lun khushbu se rakkhun na wasta qismat ke khote sikke ko qimat nahin mili aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili main jab nahin rahungi bhala kya karenge aap har lamha mere waste roya karenge aap qurbat ko mere pyar ki dhunda karenge aap ek hashr is jahan mein barpa karenge aap har-dam yahi kahenge ki aurat nahin mili aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili