ye teri jhil si aankhon mein ratjagon ke bhanwar ye tere phul se chehre pe chandni ki phuwar ye tere lab ye dayar-e-yaman ke surkh aqiq ye aaine si jabin sajda-gah-e-lail-o-nihaar ye be-niyaz ghane jangalon se baal tere ye phulti hui sarson ka aks galon par ye dhadkanon ki zaban bolte hue aabru kamand dal rahe hain mere khayalon par teri jabin pe agar hadson ke naqsh ubhren mizaj-e-gardish-e-dauran bhi ladkhada jae tu muskurae to subhen tujhe salam karen tu ro pade to zamane ki aankh bhar aae magar main shahr-e-hawadis ke sang-zadon se ye aaine sa badan kis tarah bachaunga mujhe ye dar hai kisi roz tere qurb samet main khud bhi dukh ke samundar mein dub jaunga