mahram-e-raaz dil-nawaz hai tu naghma-e-zindagi ka saz hai tu kahan phulon mein aisi ranai jaisi qudrat se tu ne hai pai tere dam se hai ye jahan gulzar tu ne bakhshi hai is chaman ko bahaar tu hai ek phul khushnuma shadab mehr-o-mah ka hai tu zamin pe jawab tu ne di is chaman ko ranai tu ne phulon ko bakhshi zebai qabil-e-qadr hai teri hasti log kyon tujh pe karte hain sakhti tu jahan mein wafa ki dewi hai sharm-o-khalq-o-haya ki dewi hai sakhtiyan kis qadar uthati hai harf-e-shikwa na lab pe lati hai raunaq-e-bazm-e-kaenat hai tu aur sar-chashma-e-hayat hai tu tu na hoti to ye jahan-e-kharab hota dozakh ka is zamin pe jawab itni mardon ko de khuda taufiq qadr teri karen bana ke rafiq