tu hawwa bhi hai mariyam bhi tu hi sita tu hi radha khadija bhi hai tu aur fatima bhi hai tu hi raziya hai laxmi-bai bhi tu hai hazaron rup hain tere hazaron kul mein tu ne hi kabhi autar janme hain kabhi hadi kabhi rahbar zamane ko diye tu ne tere hi husn ka charcha zamin se aasman tak hai muhafiz bhi hai aur janani bhi hai tahzib ki akhlaq ki bhasha ki mamta ki tere fikr-o-amal ki kar-farmai nirali hai zamane mein tu aurat hai magar kya shan wali hai zamane mein