yaqinan zamane se mumtaz ho tum gul-o-lala ne tum se sikhin adaen tumhein dekh kar muskuraen fazaen nasim-o-saba sab ki hamraaz ho tum yaqinan zamane se mumtaz ho tum khuda ne tumhein husn-o-ranai bakhshi bahaaron ki rangin dil-arai bakhshi dil-araiyon ka hasin saz ho tum yaqinan zamane se mumtaz ho tum bahar-gam hamdam ho tum ham-nawa ho meri rifaton mein tumhi ja-ba-ja ho tumhi meri monis ho dam-saz ho tum yaqinan zamane se mumtaz ho tum musibat mein bhi muskuraati rahi ho meri himmaton ko badhati rahi ho meri kaamrani ki ghammaz ho tum yaqinan zamane se mumtaz ho tum tumhein dekh kar ghuncha-e-dil khile hain tumhin se bahaaron ke bhi silsile hain chaman mein tabassum ka aaghaz ho tum yaqinan zamane se mumtaz ho tum salamat rahen jab talak chand tare salamat rahen naz-o-ghamza tumhaare mohabbat ka chahat ka eajaz ho tum yaqinan zamane se mumtaz ho tum