ja raha hai apni manzil ki taraf mah-e-tamam jaise qabron ke mujawir jaise masjid ke imam khanqahon mein hua karta hai jaise bil-umum shaikh ki khidmat mein hazir hai muridon ka hujum is tarah mehrab mein rakkhi hai ilhami kitab jaise ek zahid ka iman jaise ek basi gulab taq mein rakkhi hui hai ek taraf ek ja-namaz ud ki khushbu se hai mahka hua har pak-baz mahw hai zikr-e-khafi mein zahid-e-shab zinda-dar baithe baithe chaunk padta hai magar be-ikhtiyar pir sahab hi nahin har shakhs hai khoya hua na-gahan un mein se ek yun ba-adab goya hua hadi-e-rah-e-tariqat murshid-e-raushan-zamir aasman-e-azm-o-istiqlal ke mehr-e-munir kya kabhi aurat ka nazzara bhi kar sakta hun main kya kabhi is rah se aasan guzar sakta hun main dekhna us ki taraf hargiz na ai mard-e-jawan warna mit jaega peshani se sajde ka nishan aap ka irshad sar-ankhon pe lekin dar ye hai chubh na jae phans ban kar dil mein ye nazuk si shai yaad rakh dil par na hone pae aurat ka asar muskurae bhi agar aankhon mein aankhen dal kar ek zara si baat hi kar lun to kya ho jaega bas yahi na aap sa rahbar khafa ho jaega tujh ko apni fikr karni chahiye har haal mein achchhe achchhe log aa jate hain is ki chaal mein is pe lanat ho khuda ki ye hai shaitanon ki rah sainkadon mardon ko kar deti hai ek pal mein tabah guftugu ye khatm hone bhi na pai thi abhi ek aurat god mein bachcha liye dakhil hui pir ghabrae muridon ko pasina aa gaya zindagi ka har takhayyul maut ban kar chha gaya