raat kuchh tarik bhi hai aur kuchh raushan bhi hai waqt ke mathe pe shokhi bhi hai bhola-pan bhi hai baam-o-dar par aaj mitti ke diye hain is tarah aasmanon par sitare jagmagaen jis tarah raston par hain dana-dan ki sadaen khaufnak zindagi se maut goya kar rahi hai tak-jhank ho rahi hain har gali-kuche mein aatish-baziyan aar raha hai abr ki surat tamawwul ka dhuan kar rahe hain laxmi-pujan bhi gharon mein sahukar dew daulat ko samajh baithe hain rabb-e-iqtidar hind walon ko maraz hai narawa taqlid ka aaj ghar mein seth-ji bhi khel lete hain jua ho sake to chhod de rasm-e-kohan mard-e-jawan ta-ba-kai dohrae jaega fasurda dastan aql se kuchh kaam le hindostan par rahm kar aaj bhi lakhon gharon mein hai andhere ka guzar hosh mein aa khwab se bedar ho ai waqf-e-naum mulk par tere hukumat kar rahi hai ghair qaum mard hai tu kaam le himmat se rona chhod de nam le arjun ka zanjir-e-ghulami tod de hind ki khwabida qismat ko jagana chahiye shauq se phir tujh ko diwali manana chahiye