wo aksar mujh se kaha karta ki main tumhaari shohrat se bilkul bhi khaif nahin hun main bahut khush hota hun tumhaari kaamyabiyon ko dekh kar lekin lekin jab tum kisi ajnabi ko kisi bhi ajnabi ko autograph deti ho to to main dar jata hun kyunki main ne bhi to main ne bhi aaghaz mein tum se autograph hi liya tha