wo rah chalte hue mili thi wo jis ke chashme ke mote shishon pe zat ke dukh ki gard ki tah jami hui thi wo jis ke chehre wo jis ke mathe par ek musalsal safar ka nauha likha hua tha wo jis ki aankhon mein ratjagon ki azab-dida zahar ki khushbu rachi hui thi wo jis ki baaton mein us ke andar ka zard sannata bolta tha wo ek ladki jo kora bartan thi jis ka fateh hi us ka maftuh wo kora bartan ki jis ko jine ka lams dene ki andhi khwahish hamesha wasl-e-nafi ki surat mein apne fateh ko marti hai wo ek ladki wo ek lamhe mein rah chalte hue mili thi wo zindagi ke tamam barson tamam salon pe chha gai hai