tumhaare nam ke nuqte ye khub-ru nuqte banae hain jo tumhaare qalam ne kaghaz par hasin aaankhon se takte hain is tarah mujh ko ki jaise dhund bhare khwab ke jazire mein saloni sanwli yaadon ka husn larzan ho tumhaara nam hai harf-o-sada ki lahron mein ubharti dubti parchhaiyon ka aks-e-jamil sulag ke jhank rahi hain pighalte manzar se tumhaare nam ke nuqton ki dil-nashin aankhen ki jaise mere takhayyul ke taza chehre par siyah rang ghilafon se jhuk ke saya karen tumhaari gahri dil-awez sharmgin aankhen