mere ham-raqs main jab ediyan apni utha kar tumhaare mazbut kandhon se pare pas-manzar mein raqsan zist ko wafa ka git gate dekhti hun to meri masrur aankhen wafur-e-ishq se be-tab ho kar kanpti hain mere chehre ko palkon ka naghma surkh karta hai badan ka khun rukhsaron pe shoale phenkta hai mohabbat mang mein meri rupahli aur sunahri afshan chhidakti hai main apni garm sanson se mahakte aur ujle khushnuma collar tale tumhaari gandumi chamkili damakti jild chhuti hun mere mahbub lamhe machalte jugnuon jaise mere malbus ke lahre se mil kar daeron mein jhilmilate hain tum apne bazuon ki giraft-e-be-panah ko zara kam karo ki main tumhaari dhadkanon ki tal par panw uthaun mujhe dar hai mera dil rasta na bhul jae mutriba saz baja