ye kaun aa gaya rukh-e-khandan liye hue aariz pe rang-o-nur ka tufan liye hue bimar ke qarib ba-sad-shan-e-ehtiyat dildari-e-nasim-e-bahaaran liye hue rukhsar par latif si ek mauj-e-sar-khushi lab par hansi ka narm sa tufan liye hue peshani-e-jamil pe anwar-e-tamkanat tabindagi-e-subh-e-darakhshan liye hue zulfon ke pech-o-kham mein bahaaren chhupi hui ek karwan-e-nikhat-e-bustan liye hue aa hi gaya wo mera nigar-e-nazar-nawaz zulmat-kade mein sham-e-farozan liye hue ek ek ada mein saikadon pahlu-e-dildahi ek ek nazar mein pursish-e-pinhan liye hue mere sawad-e-shauq ka khurshid-e-nim-shab azm-e-shikast-e-mah-jabinan liye hue dars-e-sukun-o-sabr ba-in ehtamam-e-naz nishtar-zani-e-jumbish-e-mizhgan liye hue aankhon se ek rau si nikalti hui har aan gharqabi-e-hayat ka saman liye hue hilti hui nigah mein bijli bhari hui khilte hue labon mein gulistan liye hue ye kaun hai 'majaz' se sar-garm-e-guftugu donon hatheliyon pe zanakhdan liye hue