ek roz main ne apni muannas se ye kaha begam mushaere ko main aaya hun lut kar boli ki mal lut ka jaldi se dijiye taki use pakaun abhi pis kut kar biwi ki kor-magzi pe bola bigad ke main ai ahmaqullazi tu na shaer ko hut kar to fakhr-e-jahilan hai tujhe kya bataun main dad-e-sukhan sabhi ne mujhe di hai chhut kar boli wo sar ko pit ke aaankhon ko kar ke lal bijli gire ghazab ki tere sar pe tut kar faqe pade hain ghar mein tujhe fakhr-e-dad hai aur itna kah ke rone lagi phut phut kar