ayodhya! aa raha hun main main teri kokh se janma teri godi ka pala hun teri sadiyon purani sanwli mitti mein khela hun mujhe malum hai tu mujh se ruthi hai magar ab dur tujh se rah nahin sakta parae desh mein guzri hai jo mujh par wo khud se bhi kabhi main kah nahin sakta zara sar to utha aur dekh kitni dur se tujh ko manane aa raha hun main tujhe tere hi kuchh qisse sunane aa raha hun main ayodhya! jaanta hun teri mitti mein udasi hai na jaane kitni sadiyon se meri bhi ruh pyasi hai ki hum donon ki qismat mein khushi to bas zara si hai bahut din ho gae hain mujh ko tere aasman dekhe sunahri dhup dekhe chamchamati kahkashan dekhe teri galiyan tere bazar aur tere makan dekhe wo din jo tujh mein raushan the wo barson se kahan dekhe bichhad kar tujh se jo manzar bhi dekhe raegan dekhe magar han yaad aaya ek manzar aur bhi mahfuz hai mujh mein haweli ek chhoti si aur us mein nim ke sae ki jis mein aaj bhi zinda hain shayad mere man-jae isi manzar ke pichhe aur bhi dhundle se manzar hain purani gum-shuda tahzib ke ghar hain jahan khwabon ki duniya hain jahan yaadon ke daftar hain andhere ru-ba-ru mere sitare mere andar hain kahin radha kahin sita kahin byakul si mera hai kahin par karbala hai aur kahin par ramlila hai tera mera to an-ginat janmon ka qissa hai ki mujh mein dur sadiyon dur gautam ab bhi zinda hai hawa ruk ruk ke aati hai jo gunji thin hazaron sal pahle wo sadaen sath lati hai mere andar jo mere rup hain mujh ko dikhati hai ayodhya! mein tere marghat ka basi hun mujhe tu jaanti hogi mujhe malum hai mujh ko mere har nam se pahchanti hogi ujad kar rah gaya jo main wo mela hun bhara sansar hai phir bhi akela hun teri mitti se jaga hun teri mitti mein khela hun teri mitti ko pahna hai teri mitti ko odha hai bahut ji chahta hai ab teri mitti mein kho jaun kai sadiyon ka jaga hun teri mitti mein so jaun ayodhya! mera bahar karbala hai andarun mera kapilwastu hai, makka hai madina hai mujhe tere purane aur raushan din mein jina hai badan par hai tera bakhsha hua ye kesari bana hai bhiksha patr hathon mein safar mera hai ab tarik raaton mein ayodhya! sar utha aur dekh le mujh ko thake qadmon se ab teri hi jaanib aa raha hun main safar tarik hai pag pag pe thokar kha raha hun main mujhe aawaz de ghabra raha hun main teri khatir jo barson se chhupa rakkha hai dil mein wo ujala la raha hun main ayodhya! aa raha hun main