dard ki saaton se ghabra kar filon se dilon ko bahla kar kya bataen ki kis tarah hum ne teri furqat mein din guzare hain teri aamad hamare chehre par aaj ek tazgi si le aai lekin is aarzi masarrat ko khub achchhi tarah samajhte hain chand lamhon mein ye nae kaghaz hum se is tarah dur bhagenge jis tarah chand qarz-daron ki pichha karti hui nigahon se pure ek mah hum farar rahe kal se phir ai sada-bahaar dulhan raat din intizar mein tere koh-e-gham se sar apna phodenge tujh se rishta kabhi na todenge