apna to abad hai kunj-e-marqad jab jism supurd-e-khak ho jae marqad bhi nahin wo aakhiri sans jab qissa-e-zist pak ho jae wo sans nahin shikast-e-ummid jab daman-e-dil hi chaak ho jae ummid nahin bas ek lamha jo aatish-e-gham se khak ho jae hasti ki abad-gah-e-qaza mein kuchh farq nahin fana baqa mein khakistar-e-khwab shola-e-khwab ye apna azal hai wo abad hai wo shola to kab ka mar chuka hai ye jism ek nash-e-be-lahad hai marti hai hayat lamha lamha har sans ek zindagi ki had hai ruhon ko dawam dene walo jismon ki sabil kuchh nikalo shola koi mustaar de do ya lash ko ab mazar de do