chalo mohabbat ki baat karen ab maile jismon se upar uth kar bhulte hue ki kabhi ghutne tek chuke hain hum aur dekh chuke hain apni ruh ko tar tar hote jhute fakhr ke sath chalo mohabbat ki baat karen zindagi ke pairon tale be-rahmi se raunde jaane ke baad marham lagaen zakhmi wajud par jo sharm se aankhen jhuka kar baitha hai sapnon ke mazar pe is se buri koi baat nahin kar sakte hum apni hi zid mein dhoka de chuke hain apne-ap ko khel chuke hain khud apni izzat se bhog chuke hain jhut ko sach ki tarah ab in haalat mein koi ghair-zaruri baat hi kar sakte hain hum aao mohabbat ki baat karen