mere khudaya bichhad na jae jo mujh se ab tak mila nahin hai wo meri raaton ka rat-jaga bhi hai mere khwabon ki chandni bhi main us ko dekhun to subh nikhre main us ko sochun to sham mahke wo mere aangan mein panw rakkhe to kahkashan aasman se utre mere khayalon se us ka rishta tamam rishton ki sari sachchaiyon se bartar atut an-mit azim rishta meri dua hai wo shakhs is shahr-e-arzu se jo ab ke jae azim sach us ke sath jae