wo ajnabi tha mere nagar mein ek aisi manzil ka rah-rau jo faqat tamanna thi raushni thi main kis se puchhun kahan hai wo ajnabi musafir jo pyar ki dhup le ke aaya aur ab gaya hai tu hansta hansta ye shahr sunsan kar gaya hai main kaise manun ki jaane wale ko hadse ki khabar nahin hai jo shahr-e-dil par guzar gaya hai main kaise jaanun ki dur ja kar udas hai khush hai jagta hai ki so raha hai kabhi mujhe bhi wo sochta hai main kis se puchhun ki main yahan khud bhi ajnabi hun