azmat-e-adam

hum tumhein qatl hi kar denge magar aaj ki raat
mat kaho beti bahu aur bahan

tum to ho ek hasin mashghala-e-aish-o-nishat
aaj tak dekhi na thi jis ki jhalak

gora gora sa bhara jism gudaz
jis ne armanon mein ek aag laga rakkhi hai

siskiyan band karo aur bilakna chhodo
apne wawaila se ab aur munaghghis na karo

chhod do apne azizon ka khayal
jin mein namus pe kat marne ki himmat hi na thi

bhag nikle hain jo jine ki tamanna le kar
bhul jao ki kabhi un se bhi nisbat thi tumhein

surmaon se milo un ki ye azmat samjho
mahfil-e-aish ko han aur munaghghaz na karo

ye nawazish nahin kuchh kam ki chuna hai hum ne
tumhein is mahfil-e-ishrat ko sajaane ke liye

do ghadi rang jamane ke liye
ponchh lo aansu phira lo aankhen

lash bachche ki nahin ye to hai zillat ka nishan
kaise insanon se nisbat thi tumhein

hum ne to rahm se khamosh kiya hai us ko
warna hum ye bhi to kar sakte the

hath aur pair qalam kar ke use tadpate
ek ek boti udate tumhein dukh pahunchate

tum to khush-bakht ho aaya nahin yun taish hamein
ye to manzur tha khalal-e-aish hamein

jam par jam uthati hui do sath abhi
chhod do ab ye tadap aur phadak

is tarah rukte bhi hain badhte hue hath kabhi
aaj ki raat faqat aaj ki raat

ek pal ka bhi tammul hamein manzur nahin
warna kuchh dur nahin

apni sangat ke liye pas bula len tum ko
samne chhat se jo latki hain tumhaari bahnen

chhatiyan jin ki hain pairon mein padi
aur jismon mein khube hain bhaale

apne badhte hue hathon ke jhatakne ki saza
ye dahakte hue bhaale bhi hain angare bhi

aur rassi ki jagah ye hain tumhaari zulfen
aaj ki raat magar aaj raat

ek pal ka bhi tammul hamein manzur nahin
muskurao badho aur jam uthao

sham-e-gham kaisi hai ab subh-e-masarrat ban jao
hum tumhein qatl hi kar denge tumhaari khatir

taki namard zalil aur kamine wo aziz
bhag nikle hain jo jine ki tamanna le kar

dekh paen to na ye kah ke tumhein sharmaen
apne han beti bahu koi na thi koi na thi

han jo is nam ki ladki thi wo mar khap bhi gai
aur tumhaare wo aziz

in ki izzat bhi rahe aan bhi baqi rah jae
jin ke hisse mein na ghairat hai na maut

hum tumhein qatl hi kar denge magar aaj ki raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close