main ne chaha tha ki taron ki bujha dun shamen nikhat-o-nur ke sanche mein jo dekha tha use kaun kar sakta hai inkar-e-wajud main ne dekhi hain lachakti hui banhen us ki marmarin shanon pe bikhri hui mushkin zulfen ras bhare hont rasili aankhen tab-e-nazara na musa ko hui kyon hoti us ki aankhon mein the sahme hue jazbaat nihan kash us ne mere mahbub ko dekha hota kash musa ka khuda mera raqib mere mahbub ke hote bhi khudai karta hae ye bebasi aur majburi bar-sar-e-tur mein raushan tare main ne chaha tha ki taron ki bujha dun shamen