hum wo hain jin ki riwayat-e-salaf ke aage chadhte suraj the nagon qaisar-o-kisra the zubun gardish-e-waqt se ek aisa zamana aaya hum nigun-sar-o-zabun-haal-o-paraganda hue sal-ha-sal ki is surat-e-haalat ke baad ek insan utha aisa ki jis ne badh kar azm-o-himmat ka shujaat ka chalan aam kiya aur barson ki ghulami ke shikanjon mein kase rah-e-gum-karda bhatakte hue insanon ko lafz-e-azadi-e-jamhur se aagah kiya ek nae daur-e-darakhshanda ka paigham diya qafile badhte rahe badhte rahe badhte rahe suraj aazadi-e-insan ke yunhi chadhte rahe hum ki waqif the riwayat-e-salaf se apni dat gae nazm-e-watan ki khatir azm-o-himmat se shujaat se naya kaam liya aur qaid ke usulon ka chalan aam kiya aaj hum phir wahi mardan-e-jari hain ki jo the