hauz ke sath sath ugi sabz ghas par dhup ki larzishen dhimi dhimi dudh ki be-maza kachchi kachchi mahak aagahi aankhen aankhon ke andar bhi aankhen ug aai hain kya ghas ki shakh hoti nahin na sahi ghas ki shakh se phir bhi chimte hui sabz tidde ne bharpur si nind mein jagte lahlahate palken jhapakte hue phul ko kha liya