faza-e-ishq ko matam-gusar chhod gaya jahan mein naqsh-e-wafa yaadgar chhod gaya payam-e-dida-e-afsana-kar chhod gaya hikayat-e-kham-e-gesu-e-yar chhod gaya nazar mein ek khalish-e-intizar chhod gaya jigar mein ek tapish-e-dard-kar chhod gaya suna ke rah-e-mohabbat mein naghma-ha-e-junun qaba-e-lala-o-gul tar-tar chhod gaya ufuq ke par gaya khanda-zan bahaaron par chaman ko gham-zada-o-sogwar chhod gaya bisat-e-khak ko de kar bahaar-e-lala-o-gul chaman ke sine pe zakhm-e-bahaar chhod gaya shab-e-bahaar mein taron ki raushni ke liye mata-e-girya-e-khunaba-bar chhod gaya patak ke jam zamane ki be-sabaati par nishan-e-hasti-e-na-paedar chhod gaya sharab-o-sher ki rangin faza pe lahra kar surud-e-khum-kada-e-nau-bahaar chhod gaya