har taraf thi teri pukar jigar har jagah tha tu naghma-bar jigar umr bhar to tujhe qarar na tha aakhirash aa gaya qarar jigar suni suni si hai har ek mahfil ujdi ujdi si hai bahaar jigar jab mohabbat ka zikr aaega aaega yaad bar-bar jigar rashk karte the phul gulshan mein tujh ko kanton se tha wo pyar jigar shaeri tujh pe naz karti thi aur tu us pe tha nisar jigar be-khudi tujh ko zeb deti thi tha khudi ka tu raazdar jigar har ada teri ehtiram-talab har ghazal teri shahkar jigar tujh se sher-o-adab ki azmat thi har jagah tu tha ba-waqar jigar shaghl-e-mai bhi tera misali tha azm-e-tauba bhi yaadgar jigar kis ko rote hain jam-o-paimana allah allah tera waqar jigar allah allah teri haq-goi tujh pe rahmat hazar bar jigar tere dil mein tha wo gham-e-insan jis ki har samt hai pukar jigar har dukhi dil ki tarjumani ki tha sabhi ka tu gham-gusar jigar nasl-o-qaum-o-watan ke hangame the bahut tujh ko nagawar jigar tere paigham tak na pahunche jo wo siyasat hai kham-kar jigar chhu gae the jinhen qadam tere raste hain wo yaadgar jigar shoala-e-tur aatish-e-gul hain lakh firdaus darkinar jigar allah allah wo azm-e-haj tera rahmat-e-haq se ham-kanar jigar aur wo nat-e-pur-khulus teri wo teri ruh ki pukar 'jigar' sharm-e-isyan dil-e-tapida par wo bharosa wo inhisar jigar wo latafat ki dida-o-dil ka gosha gosha hai pur-bahaar jigar wo jagah bhi hai pyar ke qabil jis jagah hai tera mazar jigar bhul sakta nahin tujhe koi yun to shair hain be-shumar jigar