dur bahut dur insan shahrah-e-irtiqa par

ai gardish-e-ayyam bas ab rok na mujh ko
ai kawish-e-anjam bas ab rok na mujh ko

ai laghzish-har-gam bas ab rok na mujh ko
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur

sarmaya-o-sazish ke farebon se guzar kar
hangama-o-shorish ke farebon se guzar kar

har mantiq-o-danish ke farebon se guzar kar
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur

wo jannat-e-shaddad ho ya aatish-e-namrud
har manzil-e-mauhum nahin manzil-e-maqsud

kaamil hai agar shauq to rahen nahin masdud
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur

khar-o-khas-o-khashak ki duniya se bhi aage
mehr-o-mah-o-aflak ki duniya se bhi aage

takhil ki idrak ki duniya se bhi aage
jaana hai mujhe dur bahut dur bahut dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close