dil ko ehsas se do-chaar na kar dena tha saz-e-khwabida ko bedar na kar dena tha apne masum tabassum ki farawani ko wusat-e-did pe gul-bar na kar dena tha shauq-e-majbur ko bas ek jhalak dikhla kar waqif-e-lazzat-e-takrar na kar dena tha chashm-e-mushtaq ki khamosh tamannaon ko yak-ba-yak mael-e-guftar na kar dena tha jalwa-e-husn ko mastur hi rahne dete hasrat-e-dil ko gunahgar na kar dena tha