bahaar aai to jaise yak-bar laut aae hain phir adam se wo khwab sare shabab sare jo tere honton pe mar-mite the jo mit ke har bar phir jiye the nikhar gae hain gulab sare jo teri yaadon se mushkbu hain jo tere ushshaq ka lahu hain ubal pade hain azab sare malal-e-ahwal-e-dostan bhi khumar-e-aghosh-e-mah-washan bhi ghubar-e-khatir ke bab sare tere hamare sawal sare jawab sare bahaar aai to khul gae hain nae sire se hisab sare