october hai kohre ki ek maili chadar tani hui hai apne ghar mein baitha main khidki se bahar dekh raha hun bahar sare ped darida pile yarqani patton ke mat-maile malbus mein lipte nisf barahna baad-e-khizan se ulajh rahe hain harf harf patton ka abjad patjhad ki be-rahm hawa ko saunp rahe hain main bhi alif se chalta chalta ab ya-e-maruf pe panw tika kar baitha ek qadam aage majhul ko dekh raha hun nange bachche dimak chate umr rasida ped bhi apna abjad kho kar barf ka bojh nahin sah pate gir jate hain october se chal kar main bhi apne abjad ki qutbini ye ki yakh-basta chaukhat par junhi shikasta panw rakhunga gir jaunga baad-e-khizan ko kya parwa hai us ko to pedon ko girana hi aata hai