main tedhi pasli ka gustakh janam hun jis ke halqon mein bad-tahzib chikhon ka hujum baghair ittilaa diye naqqara-e-be-aman ka rag alapta hai phunkta hai aankh aankh mein dhuan adh-jale talluqat ka mujhe pathrile ehsas ke panghodon mein khilaya gaya sikhai gai be-tartib zindagi ki bandar-bant qallash logon ke darmiyan phenka gaya be-dhyani se kaun jaane zindagi ki utha-patakh main kitne aabgine chakna-chur hue kis ne maqruz dastaron pe utha rakha hai pairon mein rondi hui jannat ka azab