baada-e-ishq se sarshaar guru-nanak the aabid-o-zahid-o-din-dar guru-nanak the rah-e-tarik-e-zalalat mein pae khalq-e-khuda sham-sa mazhar-e-anwar guru-nanak the haq-parasti ke tasawwur se hamesha khush the kufr aur shirk se bezar guru-nanak the tarbiyat khalq ki karte the badi koshish se us ke har haal mein gham-khwar guru-nanak the abr-e-naisan ka khawas un ki nasihat mein tha lab-e-shirin se guhar-bar guru-nanak the wasil-e-mazil-e-maqsud na hote kyunkar faras-e-ishq pe aswar guru-nanak the rah-e-haq mein na the paband kisi mazhab ke tarik-e-subah-o-zunnar guru-nanak the khwab-e-ghaflat se wo bedar kiya karte the waizon mein bade hoshiyar guru-nanak the madh-khwan us ka tu ho 'barq' ba-sad ijz-o-niyaz khaksaron ke madad-gar guru-nanak the