rahat-e-banda-e-be-dam kahan hai aa ja paikar-e-husn sar-e-baam kahan hai aa ja raunaq-e-bazm hai o jam kahan hai aa ja zinat-e-jalwa-gah-e-am kahan hai aa ja ai umid-e-dil-e-na-kaam kahan hai aa ja teri furqat khalal-andaz-e-sukun-e-paiham teri furqat dil-e-mayus pe ek turfa sitam teri furqat sabab-e-kawish-o-bedari-e-gham tu nahin hai to phir aaram kahan hai aa ja shahid-e-aur-e-siyah-bakht o shab-e-tar hun main khugar-e-nala-e-lazzat-kash-e-awaz hun main dam-e-tufan-e-hawadis mein giraftar hun main roz-o-shab muntazir-e-did-e-rukh-e-yar hun main dil hai waqf-e-gham-e-alam kahan hai aa ja shoala-e-bar-kaf-e-gul dagh-e-jigar tere baghair khar-bardosh hai daman-e-nazar tere baghair khun-fishan hai shab-e-gham dida-e-tar tere baghair chalan aata hi nahin sham-o-sahar tere baghair muntazir hun sahar-o-sham kahan hai aa ja daur-e-tariki-e-gham se shab-e-tanhai se dam-ba-dam josh-e-junun ki sitam-arai se kaba-o-dair-o-kalisa ki jabin-sai se khauf-e-majburi-o-nakaami-o-ruswai se ishq hai larza-bar-andam kahan hai aa ja muntashir hone lagi anjuman-e-naz-e-hayat ban gaya khwab har ek manzar-e-aghaz-e-hayat dam-shikasta sa nazar aane laga saz-e-hayat ab koi dam mein hua jata hai wa raaz-e-hayat aa gaya naza ka hangam kahan hai aa ja