kis qayamat ka tabassum hai tere honton par istiaron mein bhatakte hain khayalat mere main ki har sans ko ek sher bana sakta hun nazm hone ko pareshan hain jazbaat mere aankh jamti nahin lahraate hue qadmon par kisi naghme ka talatum hai ki raftar teri raqs angdaiyan leta hai teri banhon mein hairat-asar hai kyun chashm-e-fusun-bar teri be-khayali mein nashebon se guzarne wali farsh hamwar se uljhenge qadam rah rah kar lab thirak jaenge alfaz ki mausiqi par apni raftar se uljhenge qadam rah rah kar dekhte dekhte bharpur jawani ki haya teri bebak nigahon mein sama jaegi parda-e-chashm se niklengi jhijak kar nazren zulf darti hui rukhsar pe lahraegi jism har gam pe laghzish ka ishaara pa kar jam-e-labrez ki manind chhalak jaega reshmi reshmi zulfon se phisalta aanchal kabhi shanon se kabhi sar se dhalak jaega