baadal dost hamare baadal dost hamare ghar ghar aaen meinh barsaen chandi barse aangan aangan dware dware baadal dost hamare baadal dost hamare sukhi dharti jal-thal kar den kheton ko amrit se bhar den barsen ras ke dhaare baadal dost hamare udte aaen nil gagan mein baghon mein kheton mein chaman mein jaise chalen fawware baadal dost hamare bhar bhar aanchal pani laya jab bhi pyase dil ne bulaya aa ja rahe aa ja re baadal dost hamare ye duniya ki pyas bujhaen kash ye baadal aaj bujhaen nafrat ke angare baadal dost hamare kitne hi kale baadal hon aas bandhi hai chamke hain chandi se kinare aas bandhata ja re baadal dost hamare