chhota sa gharana apna dekha hai aankhon ne sada jis ka sapna chhota sa wo apna gharana hai shor kahin bachchon ka bahnon ko satana din bhar bhai ka aur sham ko thak kar so jaana chhota sa wo apna gharana sab khelen aankh-micholi jaise ek umr ke ham-joli wo khel mein shamil hona abba ka ammi ka magar wo sharmana chhota sa wo apna gharana phir sath kabhi jo baithe pahron baaten karte guzre wo hath mein hath pakadna hum sab ka aur der talak mil kar gana chhota sa gharana apna dekha hai aankhon ne sada jis ka sapna