barkha rut mein aate hain baadal pani bhar kar late hain baadal aangan aangan barsate hain kheton ko tar kar jate hain pyasi dharti ke honton par bhar jate hain amrit la kar warsha ke ye dut hain baadal karte hain dharti ko jal-thal phulon ko dete hain tabassum koyal ko dete hain tarannum cham-cham bijli chamkate hain ek kiran si lahraate hain shor machate hain gate hain chaaron taraf ye mandlate hain giton ki rut jhulon ke din kaliyon ki shab phulon ke din warsha ki rut bhar ke late barsate lahraate jate