mujh se milo tum baaton ki chae par kahani ke pech mein bachpan ki shor karti rail mein mazi ke nukkad par aflatuni ishq ki mauj mein fursat ke be-barakat din yar ki judai wale pahar mein jawani ki dhup mein ghaalib ke diwan ki pur-bahaar sidhiyon par lafzon ke bazar mein nazmon ke asrar mein mujh se milo tum mujh se milo tum ajnabi mulkon ki sair-o-siyahat mein pyar ke rasm-o-riwaj mein halqa-e-yaran mein tufan-e-baad-o-baran mein sentoras ke aqab mein chhappar hotel ke tute hue table par chand pe baithi hui budhiya ke nurani charkhe mein assi ki dahai ki filmon ke zikr mein purani kitabon ki dukan par niswani khushbuon ke chauk par boson ki takrar mein mujh se milo tum