kaisa abr hai jis ke barasne ki har pal ummid liye aankhen tishna-lab rahti hain us ko dekh ke ye kisht-e-barani bharti hai ye janmon ki pyas ho jaise is mitti ki ek ek bund utarti mujh se baaten karti hai pahle main barish ko dekh ke khush hoti thi ab main is mein bhig ke is ki baaten sunti hun