main ne ek sukhte ped par nazm likhna shurua ki mere andar pile patton ke dher lag gae main ne hawa par nazm likhi mere andar shakhen phutne lagin phul meri hatheliyon se bahar nikal aae main ne barish par nazm likhi meri chadar ke pallu bhig gae jin ko sukhane ke liye main ne dhup par nazm likhi suraj sawa neze par aa gaya ped jalne lage aur parind marne lage main ne baadalon ke liye hath uthae phir kashtiyan kam pad gain log dubne lage main ne dubne walon par nazm likhna chahi lashen hi lashen meri chaaron jaanib tairne lagin har ek lash kahne lagi pahle mujh par likho pahle mujh par main ne is shor mein apni bhi chikhen sunin phir mere andar ek gahre aur pur-asrar sukut ne basera kar liya ab main is sukut ki mezbani karti hun isi ke sath baaten karti hun soti aur jagti hun diwaren mere liye libas banti rahti hain khidkiyan aur raushan-dan mere wajud ke ghaw hain jin par har aati hui subh aur dhalti hui sham apna apna marham rakhti hain aur mujh se kahti hain hum par bhi nazm likhna jab ye ghaw bhar jaen gali mein khelte bachche kabhi kabhi khidki ke shishe se aankhen chipka kar andar jhankne ki koshish karte hain unhen kaun ye samjhae chizon ke andar jhankne ki koshish shair bana deti hai