ashtar ai aasmanon ki malika baadshah teri dahliz ka darban hai lagash aur aur arj mein tere nam ka sikka dhalta hai teri zulfen zafar-mand lashkar ka pharera hain aur chehra subh ke mashriq ka aasman furaat ka chamakta pani tera aaina hai kunwariyan tere muqaddas ahate mein apni ismat ka sunahra sikka bhent karne aati hain to minara-e-babul ki bulandi se banjh zamin ke nam bar-awri ka sandesa likhti hai ai bahut se namon wali teri hatheliyan tere tamawwuz ke hathon ki garmi se dahakti hain jis ke safed mabad ke sunahri kalas meri aankhon ko khira karte hain tere matam-daron ke aaza-e-tanasul teri bargah ka chadhawa hain azhdaha tere panw ke tawazun pe marta hai safed sher tere sunahre rath ke ghode hain tere sar par par-dar bel ka saya hai ai bar-awri ki dewi tere qadmon ki aahat se murda zamin naf tak dhadak uthti hai