aap baadshah hain hamein bhul kyun nahin jate hum bahut chhote hain hamari zindagi hum se bhi ziyaada chhoti hai aap agar chahen to use apne jute ke agle hisse ke niche mukammal kar sakte hain magar aap ne to hamein apne jute mein nikal aane wali kil samajh liya hai aap ka khayal kaise ghalat ho sakta hai aap baadshah hain agar aap ko ghussa aa jae to aap hans sakte hain hamein aur hamare doston ko hathi ke pairon mein baithe dekh kar aap aasman hi hamare gharon par gir sakte hain jahan hum bedar hue the apne munh mein lakdi ka chamcha le ke kisi baadshah se ziyaada baadshah