bachchon ki bicycle maidan-e-jang mein kisi kaam nahin aati tank ko aata dekh ke dar ke mare chal nahin pati ghanti nahin bajati ek jagah jam jati hai itni chhoti ho jati hai ki tank ko nazar nahin aati jab tank apna rasta banate hue us pe se guzar jata hai to ek halki si aawaz har taraf phail jati hai ek chhota sa dhabba zamin pe numudar ho jata hai tank aage badhta hai to bahut si chhoti chhoti bicyclen tank ko gher leti hain ghantiyan baja baja ke pagal kar deti hain bhagne nahin detin dara dara ke khatm kar deti hain